Abdul hameed Adam ki Khubsort Gazal
hañs ke bolā karo bulāyā karo
aap kā ghar hai aayā jaayā karo
muskurāhaT hai husn kā zevar
ruup baḌhtā hai muskurāyā karo
had se baḌh kar hasīn lagte ho
jhūTī qasmeñ zarūr khāyā karo
hukm karnā bhī ik saḳhāvat hai
ham ko ḳhidmat koī batāyā karo
baat karnā bhī bādshāhat hai
baat karnā na bhuul jaayā karo
taaki duniyā kī dilkashī na ghaTe
nit-na.e pairahan meñ aayā karo
ham hasad se 'adam' nahīñ kahte
us galī meñ bahut na jaayā karo
No comments:
Post a Comment
Thank You